thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

Nazm

- 'Josh' Maleehabadi

kyaa hind ka zindaan kaanp rahaa aur goonj rahee hain takbeeren
uktaaye hain shaayad kuchh qaidi aur tor rahe hain zanjeeren

deevaaron ke neeche aa aa kar yoon jamaa huye hain zindaanee
seenon men talaatum bijlee ka aankhon men jhalaktee shamsheeren

bhookon ki nazar men bijlee hai topon ke dahaane thande hain
taqdeer ke lab pe jumbish hai dam tor rahee hain tadbeeren

aankhon men gadaa ke surkhee hai be-noor hai chehraa sultaan ka
takhreeb ne parcham kholaa hai sajde men paree hain taameeren

kyaa un ko khabar thee seenon se jo khoon churaayaa karte the
ik roz isee be-rangee se jhalkengee hazaaron tasveeren

kyaa un ko khabar thee honthon par jo qufl lagaayaa karte the
ik roz isee khaamoshee se tapkengee dahaktee taqreeren

sambhlo ke vo zindaan goonj uthaa jhapto ke vo qaidee chhoot gaye
uttho ke vo baithee deevaaren dauro ke vo tootee zanjeeren


Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1